Ek Baar Radha Ji Ne Shri Krishna Ji Se Pucha - He Swami Dwarkadish ! Aap Prem To Humse Karte Hai , Parantu Aapne Vivaah Humse Q Nahi Kiya , Aisa Q ? Me Achhe Se Jaanti Hoon Aap Saakshaat Pure Bramhaand Ke Srishtidata Hi Hai Or Aap Kuch Bhi Kar Sakte Hai , Bhaagya Ka Likha Badalne Me Aap Saksham Hai , Fir Bhi Aapne Rukmani Se Shaadi Ki , Mujhse Nahi.
Radha Ji Ki Yah Baat Sunkar Shri Krishna Ji Ne Uttar Diya - He Radhike , Meri Priyatam ! Vivaah Do Logon Ke Bich Hota Hai. Vivaah Ke Liye Do Alag - Alag Vyaktiyon Ki Aavshyakta Hoti Hai , Tum Mujhe Yah Bataao Radha Or Krishna Me Dusra Koun Hai. Hum To Ek Hi Hai. Fir Hume Vivaah Karne Ki Kya Aavshyakta Hai ?
Ni : Swarth Prem , Vivaah Ke Bandhan Se Adhik Mahaan Or Pavitra Hota Hai. Isliye Radhakrishna Ni : Swarth Prem Ki Pratimurti Hai Or Sadev Pujniya Hai.
~ ~ Jai Shri Radhe Krishna ~ ~
~ ~ Sadah Bahar ~ ~
No comments:
Post a Comment