Tum Koun Ho ?
Jo Mere Andar Hi,
Andar Samaaye Huye Ho ?
Din Prati Din Tumhaari Anubhruti,
Mere Sar Se Uppar,
Prahaar Kar Raha Hai ?
Mujhme Anvarat Sama Rahe Ho ?
Or Tum Lagaataar Ye Kehe Rahe Ho,
Ki Tum Mere Ang Ka Ek Hissa Ho ?
Kya Ye Sach Hai ?
Tum Kehete Ho Ki,
Tum Purv Janam Se Ho ?
Par Mere Ang Me Kya Kar Rahe Ho ?
Tumhe Ye Adhikaar Kisne Diya ?
Par Tum Ho Koun ?
Or Mujhse Prashn Q Kar Rahe Ho ?
To Suno , Me Tumhaari Aatma Hoon !
Jo Anubhrutiyon Ke,
Saath Chalata Hoon !
Kal Tumse Juda Ho Jaaunga !
To Tum Apne Aap Ko Mrit Paaoge !
Humaare Chale Jaane Se,
Tumhaare Ang Me Koi Anubhruti,
Or Ehesaas Hi Nahi Rahega !
Tum Manushya,
Mere Bin Kaise Zinda Rahoge ?
Aaj Jo Tumhaara Hissa Hoon,
Kese Kehe Doon Me Tumhe,
Ki Me Tumhaari Aatma Hoon ?
Jo Juda Ho Jayega Kal !
Tum Mujhme Samaaye ,
Andar Hi Andar Ladte Ho,
Or Anubhruti Ka Ehesaas Dilaate Ho ?
Tum Nih : Swarth Q Mere Bhitar Ho ?
Tumhaari Swarth Kya Hai ?
Tum Nih : Swarth Mere,
Anubhruti Se Q Milne Aaye Ho ?
Tum Kehte Ho Ki Tum Aatma Ho,
Or Mujhe Ab Tak Zinda Rakhe Ho ?
Ha , Mene Tumhe Ab,
Tak Zinda Rakha Hai !
Q Nahi Chale Jaate ?
Me Tumhe , Tumhaare Zindagi Ki,
Tamaam Khubsurat Anubhrutiyon Ka,
Ehesaas Dilaane Aaya Hoon !
Jab Tak Tumhe Ye Ehesaas,
Na Ho Jaye Hum - Tum Ek Hai,
Humaare Parmaatma Ek Hai,
Or Me Tumhaare,
Roum - Roum Me Basa Hoon,
Yaha Tak Ki Har Manushya,
Ke Bhitar Hum Hi Base Hai !
Humaare Kaaran Hi,
Tumhaari Jivan Hai,
Or Tum Sab Aaj Zinda Ho !
Or Khubsurat Hone Ka,
Ehesaas Karte Ho !
Ab Pata Chala Me Koun Hoon !
Ha , Me Tumhaari Aatma Hoon !
~ ~ Jai Shri Radha Krishna ~ ~
~ ~ Sadah Bahar ~ ~